Home » डिजिटल इंडिया » Up scholarship online Apply kaise kare (Matric ,Prmatric, post-matric) ?

Up scholarship online Apply kaise kare (Matric ,Prmatric, post-matric) ?

Up scholarship online apply kaise kare,

Up scholarship online Apply kaise kare(PrMatric , Postmatric , Greduation/higher than 12th) ?

Scholarship online apply karne ke liye aapko aapko kahi jaane ki jarurat nahi. Bas niche diye step ko follow karte rahe. apne aap se online kar sakte hai.

Scholarship online registration kaise kare ?

Doston Scholarship online registration ke baare me main aapko pahle hi bata chuka hu. Agar aapne. Abhi tak nahi read kiya hai to pahle us post ko pad le.

Scholarship ke liye Registration kaise kare

Jo ki Scholarship online karne ka 1st step tha. Aur aage main aapko 2nd aur 3rd step batane ja raha hu jisme apne Scholarship ko puri tarah se online kar sakte hai.

STEP 2

Scholarship Registration user id login kaise kare ?

Yadi aapne Registration kar liya hai to aapke pass user id and password jarur bana hoga. Ab aapko login karke finally Scholarship form ko submit karna hai.

 

Yadi aap user id password bhul gye hai to niche forget password option per jakar password ko dobara bana sakte hai.

Scholarship online apply kaise kare ?

1st aapko apna id password login karna hai.

Note- form me jis colum me * laga hua hai usko fill karna jaruri hai aur jis colum me * nhi laga hai. Usko aap nahi bharenge to koi problem nahi hogi.

Note– form ko Documents marksheet me dekh kar hi bhare. Jaisa aapke marksheet me fiya hai bilkul wase hi bharna hai.

  1. Login karne per uper age jaisa step dikhayi dega . Jisme sahi ✓ka mark laga hai, complete ho chuka hai, ab uske niche wale option per click karke Aavedan karna hai.
  2. Us per click kare ab ek page khulega, jisme aapko apne Documents me dekhar sahi se fill katna hai.
  3. Ab fill karne ke baad form ke niche submit button per click karke submit kar de.
  4. Ab niche wale option per click karke passport size ka photo scan karke upload karna hai.
  5. Ab aapke page ka preview dikhega. Ek bat chéck kar le sab sahi hai ya nahi.
  6. Ab aapke form print kar sakte hai. Print karke ek bar phir se check kar le.

Form me photo maximum 50 kb ka hona chahiye, aur Documents jaise marksheet ,cast certification ka size maximums 1mb hona chahiye, isse jada hone per upload nahi hoga.

STEP 3

Finally form print out kar le-

Ab yadi aapka form submit ho gya hai to finally uska print out kar le.

Scholarship print out school college jama karne ke liye application ka print out 3 din baad kare.kyki yadi aapke form me kuch Incorrect hoga to aapke form submit nahi ho payega.

Form fill karne ya form submit na hone per 18004190001 & 180030100001 helpline number per sampark kar sakte hai. Aur comments karke bhi puch sakte hai.

Share on:

7 thoughts on “Up scholarship online Apply kaise kare (Matric ,Prmatric, post-matric) ?”

  1. oasis se student ka registration nahi ho raha hai. or income, addhar, phone no likh nahi raha hai.plese help me

Comments are closed.