Home » Uncategorized » Jio Phone Me YouTube Download and Use Kaise Kare

Jio Phone Me YouTube Download and Use Kaise Kare

Jio Phone Me YouTube – Jio Phone User Ke liye Khuskhabri, Ab Aa gya hai YouTube Application Jio Ke Phone, Recently me aaye Jio Phone ke Update me Facebook aur Whatsapp Update kiya gya tha But Abhi New Update me aap Jio Phone ke App Store Me Ab YouTube Ka app Bhi Launch kar diya gya hai.

Hello Friends Aaj hum aapko Is Jankari me batayenge Jio Phone me YouTube Download aur Use Kaise kare, Doston Jio Company Lahatar New New Update Dekar Apne Jio Phone Customer ko Unke Manpasand Ki sabhi Jaruri app Update kar rahi hai, Jisme Recently Jio Facebook app, aur Whatsapp App Launch Kar chuki hai aur ab YouTube App Bhi Launch ho Chuka hai.

Jio Phone User ke liye Update Me thoda Time to lag raha hai but Unke jarurat Ki Sabhi Apps aur Fetures 1500 rupaye ke is Jio Phone me Jarur Mil jayega. Update karne me Is liye Time lag raha hai, Kyuki Jio Phone ek Alag OS par Kaam Kar raha hai, Jiska Name hai Kai Os, Kai Os Android, ios, Java, Se Bilkul alag os hai. Jo Jio Phone me Diya gya hai. Chaliye ab Jaan lete hai, Jio phone me Youtube Download aur Use kaise karte hai.

Jio Phone Me Youtube Download Kaise Kare ?

Step.1 Yadi aap Apne Jio Phone Me Youtube App use karna Chahte hai, to Sabse pahle apne Jio Phone Me App Store Application Ko Open karen.

Step.2 App store open karne ke baad ab Search laren Youtube app ko, Jaise hi Youtube app aapko mil jata hai, just aapko uspar Click karna hai.

Step.3 Youtube app par Click karte hi, Install ka Option Mil jata hai, aapko just Ok Button click karke install kar lena hai.

Step.4 Jio phone me youtube install hone ke baad aapko open karne ka option mil jata hai, just ok button click karke.

Aapke jio Phone me Youtube App Successfully install ho gay hai, ab aap Kisi bhi Video Youtube par Search karke Direct Dekh sakte hai.

Jio Phone me Youtube App Use Kaise Kare ?

Ab yadi aapne Apne jio Phone me Youtube Application Download kar liya hai, to Chaliye jaan jete hai, Use kaise kare.

Youtube Video Volume– Yadi aap Jio Phone ke Youtube app Me Koi Video Dekh rahe hai to Video Ki Aawaj (Volume) Kam aur jada karne ke liye, 1 and 3 Button ka Use Kar sakte hai, 1 Button Se Video Ki Volume kam Ho jayegi aur 3 Button se Volume Jada Ho jayegi.

Fast Forward (Seeking)- Youtube Video Ko Forward karne ke liye aapko Video Par Ok Button Se Press Karna hai, Jiske baad aapko Video Setting Ka Option aur Video Seeking Ka Tab Mil jata hai, curser Se Video Forward kar sakte hai.

Jio Phone More Tips
Share on:

2 thoughts on “Jio Phone Me YouTube Download and Use Kaise Kare”

  1. Sir,, aapki post bahut badhiya hai…mai aapse contact karna chahta hu,,lekin kahi bhi mujhe aapka email nahi mila…please mujhe reply kare

    Reply

Leave a Reply to Indrajeet raj Cancel reply