Home » Uncategorized » Jio Phone Use Kaise Kare 12 Tips ?

Jio Phone Use Kaise Kare 12 Tips ?

Hello Jio phone user Yadi aapne bhi Jio ka mobile Buy kiya hai to aapko jio Phone use karne ke baare me pata Jarur hona chahiye, to ham aaj aapke liye jio ke kuch Important Information Aapke sath Share kar Rahe hai. Jiski jarurat aapko Jio Phone me Lagti Rahegi.

Jio Phone me Hame kuch Issue bhi Dekhe hai, jaise jio Voice Search kar Kaam na karna, Jio phone Heat hona, ya Hang hona. To chaliye jaan lete hai, jio mobile ke Tips and Tricks ke baare me.

Jio Phone Use Karne Ke Kuch Important Information ?

1. Jio Phone me Google Assistant Download and Install Kaise kare ?

Kya aapke Jio Phone Me Voice Search Kam Nahi kar raha hai to Is Step ko Follow karen. Hamne Kayi jio Phone me Dekha hai jisme Google Assistant Install Nahi hai, aur Voice Search Work Nahi Kar raha hai, aapke jio mobile me Google Assistant Install Nahi hai to aapko niche ke Step se Phone Ko update kar De Google Assistant Automatic Install Ho jayega.

Read: हीमोग्लोबिन क्या है ( what is blood hemoglobin ) details ?

2. Jio phone New Version Update kare ?

  • Jio mobile Update karne ke liye Sabse Pahle aapko phone Setting me jana hai.
  • Ab Last me Device Section diya hai uspar jaye.
  • Ab aapko Scroll Down karke Software Update Par Jakar Ok kar de.
  • Yadi aapke Jio Phone me New Update Avaliable Check hoga, Agar Koi New Version Update Aaya Hoga to Automatically Update Hone lagega,

Update hone par Phone ko Restart Karna hai. Ab aap Device Information optOpt me jakar Software ka Update Version Check kar sakte hai.

ReadJio Number kis other Network me Port कैसे करें ?

3. Jio phone use me Email Setup kaise kare ?

Jab Bhi aap New Phone lete hai to sabse pahle aapko Usme apna Mail id Setup kar lena Chahiye jisse ki Phone ki Search history bhi aapko milti rahegi, aur ab Sab ka Content Number bhi Mail me Save Rahta hai, yadi aap Apne Purane Mail Me save Content Numbers ko New jio phone me bhi pana Chahate hai to Ye setup jarur kar le.

4. Old Phone All Content Number New Jio Phone me import, Export kaise kare ?

Koi bhi phone use karte hai to usme Jo Contact Number hote hai, Wo aapko Gmail Me jarur Export kar lena chahiye, Mail me hi nahi balki aap Memory Card and Sim card me bhi Export kar lena chahiye. Yadi aapke All Contact Numbers Gmail, Outlook mail, Ya Memory Card me Export karke rakha hai to Chaliye jaan lete hai ise Jio ke phone Kaise Import kare.

  • Sabse pahle Aapko Contact Application Ko oprn karna hai.
  • Ab Right Niche Corner me Setting ke option par jaye.
  • Ab Niche aapko Import Contacts and Export Contact ka option milega yadi aapko Kisi Mail ya Memory se Contact Number Jio phone me Dalna hai to Import option par jaye.
  • Yadi Jio phone me save Sabhi Contact Number kisi Sim card Memory Card ya Bluetooth ke dwra Save karke Rakhna hai to Export option par jaye.
  •  Import karne ke liye Click karen Ab Sim Card, Memory card ya Gmail, Outlook Jo bhi ho Uske Choose karen aur Import kar le.

ReadAndroid Oreo Update me Kya kya hai ?

5. Jio Phone Language Change kaise Kare ?

Jaisa ki Hamne Jio Phone me dekha Hai, 24 Language Diya gaya Hai jo ki Indian Languages hai, Aap jis Language ko Samjhte hai, Ushe Aashani Se Use kar Sakte hai,

  • 1st aapko jana Hai Setting Application me Aur Next Choose karna Hai, Personalization Section.
  • Ab next Scroll Down karke Language (भाषा) par jakar apna Language Select karke Ok kar dena hai.

6. Jio Phone Me Voice Search Kaise Kare ?

Jio phone ka Sabse bada And Useful Feture hai, jio Voice Search jisme aap kuch bhi Bolkar Aashani se Serach kar sakte hai, Chahe aapko Kisi ko Call karna, Koi Application open karna ho, ya Internet se Kuch Search karna ho.

  • Simply aapko Dabakar Rakhna hai, OK (Center Button ) ko ya Phir Open karna hai, Google Assistant Application ko.
  • Than ab Aapke Front Me Aayega How Can I help You ( Ham aapki Kis prakar se Sahayata kar sakte hai. Jisme aapko Bolna hai jo aap Janana ya Search karna Chahate hai.
  • Speak Now ke liye * Button ka Use kar sakte hai.

7. Jio phone Me Lock Kaise Lagaye ?

Mobile me Lock Ka option na ho to Samjho Mobile Adhuri hai, Aur lock ka Option aapke Phone Me Security ka Kaam karta hai, nahi to koi Bhi aapke Me Kuch bhi kar sakta hai, lock Lagane ke liye.

  • 1st aapko Jana hai Setting option me Jisme Choose karna hai Aur Privacy and Security Option par jana hai.
  • Next Screen Lock ko Select karke On kar lena hai.
  • Aur ab Apna Pin Code Enter karna hai, jisme aap 4 digit ka pin Code use kar sakte hai, jaise- 1234, 0977, kuch bhi.

Than Ok Kar dena hai, ab aapne Apne Jio Phone Me lock Laga liya hai, 1 baar Lock karke Dekh sakte hai.

8. Jio Phone me Call Forword Kaise kare ?

Call Forword yadi aap Chahate hai, ki aapke Sim Ke Calls Kisi Aur Other Number par Transfer ho, Basically ye Fetur Wo log Use karte hai jinhe kisi ek Number ke Calls ko Dusre Mobile number par Recive Karna ho.

  • Iske liye jaye Setting me aur Choose karna Hai Network and Connectivity Tab par.
  • Ab aapko Milega Call Setting ka Option jisme Scroll Down karke Call Forword option par jana hai.
  • Call Forwording par jaane ke baad aapko Jis bhi Mobile Number par Call ko Forword karna hai, usko Enter karke Save kar de.
  • Bas aapka kaam ho gya gy aapke jio number ke calls Us number par Transfer hoga.

9. Jio mobile Se Call Confrensing Kaise Kare ?

  • Sabse pahle aapko Karna hai 1st call ab option par click karke Add Call ka option par jana hai
  • Add call par click karte hi Sidhe Contact Application open ho jayega jisme aapko jo bhi 2nd call karna ho, uspar call karen.
  • Dusra call jab bhi Recive ho jaye to aapko milega Merg Call ka Option mil jata hai jispar Click karke 1,2 ya 3 Calls Aashani Se Confrens Kar sakte hai.

10. Apne Jio phone ka Mobile Number kaise Nikale ?

Jio sim Ka Number Janne ke liye aapko jio Ussd Code Enter karna hota hai but jio mobile me Lage sim ke Number ko Janne ke liye Option Diya gya hai.

  • Isie liye aapko Jana hai hai Mobile Setting me Phir jana hai Device Tab par Jisme milega.
  • Ab niche Device Information ke option par jana hai, jisme aapki phone Number Show Hoga.

11. Jio phone ka IMEI Number kaise Nikale ?

  • Sabse pahle Setting me jaye
  • Ab Device Section me jaye jisme aapko Device Information Option Milega.
  • Ab Aapke pas Kayi option hoga jisme se ek Hoga, More Information uspar click karen.
  • Ab aapke saamne Aapke Mobile IMEI Number and Mobile ke Kuch Details bhi Mil jayenge.

ReadJio sim Ka Recharge Kaise kare ?

12. Jio phone File Data PC me Transfer kare ?

Jio phone me Aapne photos, video , music to Rakha hi hoga, aur aap Chahate hai ki USB cable ke dwra Computer and Laptop me Copy karna to iske liye Aapko Chahiye bas ek Usb cable bas.

  • Sabse pahle USB cable ki madat se phone Ko pc Se Connect karna hai, By Default Storage aapke Pc me Nahi Dikhega. Aapka Setting me jakar Enabled karna hoga.
  • Settine jaye aur Storage Tab me jaye USB Storage Enabled ke option par Tick kar dena hai. Bas aapka kaam ho gya.
  • Ab aap apne Computer ya Laptop me Phone ka pura Memory Show hone lagega.
  • Ab Jo bhi copy karna ya phir Dalna ho Dal sakte hai.

Final word– Thanks For Reading “Jio Phone use karne ke Ye sab Tips Yadi aapko Pasand aayi ho to Apna Feedback jarur de aur apne Doston ke Pass Share jarur karen, Koi Bhi Problem ho to Comments karke hame jarur batayen taki ham aapki madat kar sakte. Aur Aise hi New New Jankari Pane ke liye Hamari Website ko Subscribe jarur kar le, HindiHelp4u ko Social Media jaise facebook page, Twitter and Google+ .

Share on:

8 thoughts on “Jio Phone Use Kaise Kare 12 Tips ?”

  1. It is really a nice and useful piece of information. I’mhappy that you shared this useful information with us. Pleasekeep us up to date like this. Thank you for sharing.

    Reply
  2. Aapne jio phone ko use karne ki jo bhi trick batai hai wah sab mujhe pasand aaya hai .
    So thank you very much

    Reply

Leave a Reply to vikas Cancel reply