Home » Uncategorized » Online DTH Recharge Kare (Dish TV, Tata Sky, Airtel, Reliance, Videocon) ?

Online DTH Recharge Kare (Dish TV, Tata Sky, Airtel, Reliance, Videocon) ?

Hello Friends Tv Lagbhag Sabhi Ke Ghar me Jarur hoga, Aur Aapko pata hi hoga TV ki Paid Channel ko Dekhne ke liye aapko DTH Recharge Karwana hota hai, iske liye aapko Market Jana hota hoga, But Aisa Bilkul Nahi hai, Aap Ghar Baithe Apne Dish Set-top, DTH Ka Recharge kar Sakte hai.

Yes Yadi aap Ghar par hi apne Mobile Ya Laptop PC Se Dish TV DtH Recharge Karna Chahte hai To HindiHelp4u Ke Is Jankari Jarur Sikh Jayenge aur, Aur Kisi Bhi Dish Tv DTH Recharge Aashani Se Ghar Baithe kar payenge, Jaisa Ki aaplog Jante hai, india Bahut Tezi Se Cashless Ho rahi hai, Jisse alog Paisa Payment, Mobile Recharge Sab Online Baithe baithe Kar rahe hai, Aise Me Aapko Bhi Digital Tarike Se Apna Recharge, Bill payment Karna hoga.

Doston Dth ka Recharge karna Bahut aashan hai, Hamne aapko Pahle bhi Kuch Online Recharge Karne Ke Baare me bataya hai, Jaise Online Bijli ka Bill Pay Kaise Kare, PayTM app Ka use kaise karen, Aaise Hi Latest Hindi Jankari Hum aapko Update karte rahte hai.

Dish Tv DTH Recharge Online Kaise karen ?

Step.1

Sabse Pahle Aap Jis Company ka Set-top-box Ya DTH,D2h Use Kar rahe hai, Us Company ki Official Website Par Jana hai, Jaisa ki aapko Pata hai, India me Bahut Si DTH Provide Company hai, jaise Dish TV, Airtel, Videocon ,  Jaisi Company hai,

  1. Dish Tv– https://www.dishtv.in/
  2. Tata sky– http://www.tatasky.com/
  3. Airtel– http://www.airtel.in/digitaltv
  4. Videocon– http://www.videocond2h.com/
  5. Sun Direct– http://www.sundirect.in/
  6. Reliance d2h- http://www.reliancedigitaltv.com/
Step.2

Ab Jaise hi Official Website ko Open karte hi Aapko Uska Dashboard Open ho jata hai.

Step.3

Website me Upar aapko Instent Recharge ka Option Milta hai, jispar aapko Click kar dena hai,

Step.4

Instent Recharge par Click karte hi, New page open hoga, Jisme aapko Registered Mobile Number aur Card Number Enter karna hai, aur Submit Button par Click kar dena hai,

Step.5

Jaise hi aap Submit Karte hai New Page me aapko Kitne Rupay ka Recharge karna hai Amount Dalna hoga, aur Niche Submit Button par Click kar dena hoga.

Step.6

Ab Next Step aata hai Payment ka Yaha par aapko DTH Recharge ka Paisa Pay karna hoga, Payment karne ka 5 Option aap Dekh sakte hai

1.Credit Card– Yadi aapke Pass Kisi Bhi bank Ka Credit Card hai Aap Credit Card ka Option Choose karte DTH Recharge kar sakte hai.

2.Debit Card– Debit Card Normal ATM card To Sabhi ke pass hota hai, Yadi aap ATM Card Se Paisa Pay karna chahte hai to Aapko apne ATM ka Details Dalkar Payment kar dena hai.

3.Net banking– Net Banking Jada Logon ke pass Nahi Hoti Kyuki Jo Log Jada Online Payments, Paisa Transfer karte hai unke pass Net Banking Ho sakta hai, to yadi aapke pass Bhi Net banking Seva hai to Net Banking Ka Option Select karke DTH Recharge kar sakte hai.

4.Wallet– Wallet Me aapko Kayi Option aa jata hai, Jaise Paytm Wallet, Freecharge Wallet, Airtel Mony, M Paisa Jaise Wallet Option hai, jisse aap DtH ka Recharge kar sakte hai.

5.UPI– Upi (Unifiel Payment Interface) Yeh bahut Hi achchi Seva hai yadi aapke paas Bhim app, Tez app, Phonepe, hai to Aapko Bas apna Upi Id dalna hai, aur Apps par jakar Payment kar dena hai.

jisme aapko all Bank Type Debit Card Ka List Mil jata hai, aap Apne ATM Se Paisa Pay kar sakte hai,

Step.7

Payment successful hone ke baad Apke Mobile Number par SMs aa jata hai, ki aapka DTH Recharge Ho gya hai.

Conclusion– Hello Friends Aapko hamari Jankari Kaisi lagi, apna Feedback dene ke liye Niche Comment kar sakte hai, Aur Agar aapko Recharge karne me Koi Problom ho To aap Niche Comment karke Puch Sakte hai.

Share on:

Leave a Comment