Home » डिजिटल इंडियासिक्यूरिटी टिप्स » Vehicle Owner Details-गाड़ी नंबर से मालिक का नाम क्या है कैसे पता करें ?

Vehicle Owner Details-गाड़ी नंबर से मालिक का नाम क्या है कैसे पता करें ?

Gadi/ Vehicle Owner Details – Gadi Ke Maalik Ka Details Pata kaose karen. Yadi aap Chahte hai, Kisi Bhi Gaadi Se Uske Malik Ka Name aur Details Jankari ko Pata karna to aapke liye Ye Jankari Jarur Helpfull hogi, Kyuki Isme aaj hum aapko Batayenge, Agar aapke pas Gaadi ka Number hai, aur aapko Pata karna hai, Uski Detail Jankari, jaise gaadi Kiske Name se Register hai. To aapko Kahi jaanr ki jarurat nahi hai.

Aapko Hindi Help 4u ki Is Jankari me Bas Bike Ya Car ka Number Aapko Pata hona Chahiye, uske baad aap Uske malik ka Name Aashani Se Online Pata kar sakte hai, Ghar baithe.

Bahut Se Yese Problem hote hai , Jaha Aaapko Kis Gadi/ Vehicle Number Se Uske Maalik (Owner) ka Name address Pata karna Pad sakta hai, Jaise Yadi aap Koi Secend-hand Bike ya Car Kharidne ke baare me soch rahe hai, To aapko Uski Detail Jankari jarur pata honi Chahiye, Waise To Puchne par Log bata Dete hai But aajkal Kisi Par Bharosha Karna Bahut Kam Hi Chance hai, Iske liye Aap Apna Internet On karke Mobile Se Bas gadi Number Se Gadi Kiske Name Se Register hai, Jaan Sakte hai.

Vehicle owner Details check kaise kare.

Sarkar Ne Internet Se Vehicle Number Se Car ya Bike ke Maalik (Owner) ka Name Details Nikane ke liye, Suvidha De rakhkhi hai, Yesa Isliye Kyuki agar Kahi Koi Problem ya Koi Accident Ho jaye to aap Uski gadi ka Details aashani Se Check kar sakte hai.

Gaadi/ Vehicle Owner Details Kaise Pata Kare ?

Yadi Aap Kisi Car ya Bike Vehicle Owner Details Number Se Uska Details Janna Chahte hai. To iske liye 2 Tarike hai.

1. MparivahanApp Dwra– Is Tarike Se Kisi Car Ya Bike ka Details Pata kar e ke Liye Aapko Apne Smartphone Me Ek Application Download karna hoga.Ye Sabse Easy Tarika hai, Isme aapko Bas Apne Phone Me Application Download karna hoga, aur Us App ki Madat Se Apne Vehicle Details Check Kar sakte hai.

Step.1 Sabse Pahle aapko Mparivahan app Apne Mobile me Download karke Install Kar lena hai.

Step.2 Install Hone ke baad Aapko Ise Open karna hai. open karne par App Ka Dashboard Niche Diye gaye Image ki Tarah Dikhega,

  1. Yaha par aapko RC Select Kar Lena hai,
  2. Enter Vehicle Number To Get Details par Click karna hai, Jisme aapko Gadi/ Vehicle Number Enter Karna hai.

Step.3 Vehicle Number dalne ke baad ab Aapko Diye gaye Search Button Par Click kar dena hai,

Jiske baad aap Dekhenge, Us Vehicle Ki Registration Details Aapke Samne aa jaati hai. Jisme-

  • Owner Name– Vehicle Kiske Name Register hai,
  • Registration Authority–  Gaadi kaha se Kharida gya gya, Registration Kaha Se hua hai.
  • Vehicle Class– Gadi/ Vehicle Class yani Ki Bike hai Ya Car.
  • Fuel Type
  • Registration Date
  • Vehicle Age
  • Insurance Valid Date

Ye Sab Details Aap Mparivahan App Se Dekh Sakte hai.Mparivahan App Me Aur Bhi Feture diye gaye Jisse aap Yadi City Ki Traffic Ki Jankari Chahiye to aap Aashani Se Traffic Check Kar sakte hai.

Online Gaadi ke Malik ka Name Pata kaise kare ?

Online Kisi bhi Gaadi ke malik ka Name Pata karne pata karne ke liye aapko Government ki Official website par visit karna hoga.First aapkl Niche di gyi Website par jana hai.

Step.1

Website open hone ke baad aapke samne Registration Number Enter karne ka Option mil jata hai. aap apne Gaadi ka Number Enter kar de.

Step.2

Gaadi ka Number Enter karne ke baad niche Verification code diya gya hai, use Dekh kar enter kar de.

Step.3

Sab enter karne ke baad Get Status Option par Click kare. Jaise hi aap Get Status par click karte hai, aapke samne gaadi ke malik ka name  Gaadi ka Pura Details aapko mil jata hai.

Aur Nearest RTO Office Yaddi aapko Janna hai, Apne Aash pass (Nearest) Koi RTO Office hai. To Usii Bhi jankari aapko Mparivahan App Se Mil jaati hai.

आशा करते है आपको हमारी ये जानकारी अच्छी लगी हो, यदि गाड़ी के Owner का नाम Check करने में आपको कोई परेशानी हो रही हो तो आप हमें Comment करके जरूर बताएं।

Share on:

Leave a Comment