WordPress Website Blog Post Me Code Box add Kaise Kare?

WordPress blog post me code box add karna bahut hi simple hai. Plugin se bhi add kar sakte hai aur direct post se bhi add kar sakte hai. Yaha aaj main aapko dono tarika bataunga.

WordPress blog post page me code box add kare.

WordPress blog post me code box add karna bahut hi simple hai.

  • Sabse pahle apne blog ke posts me jaye jaha aapko code box add karna hai.
  • Ab jo code hai waha likhe aur usko select kar le.
  • Ab post ke uper jaye paragraph section me aapko preformatted ka option hoga us per click kar de.
  • Bas aapka kaam ho gya ab post ko preview karke dekhe aapka code box me dikhayi dega.

Example- jaise maine ek code likha hua hai..

$_+$+))#++#($-$(

Ab ise ham box me karne ke liye pahle to ham isko select kar lenge.

Ab upar jaha se ham headlines chose karte hai waha sabse bich preformatted hai us per click kar denge. $_+$+))#++#($-$(

Yadi aapko code box color change karna hai to niche diye gaye css code ko apne blog me add karna hoga

.pre { border:1px solid #ccc; padding:5px 10px; background: #f8f8f8; font-size: 12px; margin-right: 50px; }

Isme aap apne codes box background color and txt color apne tarah se change customized kar sakte hai.

How to add css code in WordPress blog

  • Go to>>Appearance>>Edit css>>add css>>ab apne css ko paste karke.
  • Saved kar do..

Read more.

Add code box under post by plugin

WordPress platform par banaye gaye blog / website ki post me codes box ko add karne ke liye hame sabse pehle apne wordpress blog dashboard me plugins ke option par apne mouse ke cursor ko le jakar open huva another option me se madad new ke option par click karna hoga. Aur new page par hame crayon syntax highlighter plugin ko search karna hoga.

Es plugin ki help se hame apni kitni bhi post me aur kitna bhi long code ko code box me add kar sakte hai. ye plugin bilkul free hai.

Step 1. Crayon syntax highlighter plugin

Crayon syntax highlighter plugin ko search hote hi hame eske samne show ho rahe install button par click karke activate karna hoga.

Crayon syntax highlighter plugin ke activate hote hi hame jis post me code box ko add karna hai, ouse open karna hoga.

Step 2. Open post

Ab hame apni post me code box ko add karne ke liye post editor ke toolbar me ek icont show hoga.
Ab hame apni post me jahan code box ko add karna hai, wahan click karna hoga.
Aur phir post editor ke toolbar me show ho rahe code box ko add karne ke icon par click karna hoga.
Click karte hi hamare samne ek new box open hoga, jisme hame apne code ko paste karna hai.

Step3. Paste your code

Jis code ko code box me show karna hai, ouse yahan paste kare.
Ab add button par click kare.
Add button par click karte hi hame apne post editor me code box show hone lagega.

Step 4. Publish your post

Post editor me heme content ke sath hi ek code box show hoga. Aur usme wo code bhi show hoga. Jisko ham apne code box me show karna chahte hai.
Ab normally, ham roz jaise har post ko publish karte hai, es post ki bhi baki settings ko karke publish kar sakte hai.
Post ke publish hote hi hame apne wordpress blog ki post me code box show hone lagega.

Step 5. View post

Ab ham apni post me code box ko dekh sakte hai. crayon syntax highlighter plugin ki help se hame code box ke bahut sare design change kar skate hai. Iske liye hame crayon syntax highlighter plugin ki setting karni padti hai.

es tarah se ham wordpress.org platform par banaye gaye apen bog / website ki kitni bhi post me kitna bhi lamba code, code box me add kar sakte hai.

4 thoughts on “WordPress Website Blog Post Me Code Box add Kaise Kare?”

Leave a Comment