Google Primer Kya hai, Primer App Use Kaise Kare ?

Hello Friends Google Primer jo Name Se hi Pata Chalta hai, ye Google ke Dwra Banaya Gya Application hai. Aaj ham Isi App Ke baare me aapko Jankari Share karne waale hai. Google ne Google Primer App Kyu Develop kiya aur Is app me kya hai aur Isse kya kya hota hai.

Google ki baat karen to Ye apne Customer ko Jarurat le Hisab se ek se ek Application Development karke Provide karti hai, jisse Unki Jaruraten Puri ho sake, abhi recently Google ne India me Digital Payment karne ke liye Tez app ko Launch Kiya tha Jo ek Upi Based App hai jisme aap Apne Bank ko Aashani Se Managed kar sakte hai, Kahi bhi Kisi bhi Bank me Paisa Transfer And Accsept kar sakte hai, Aur Tez app se aap Paise Bhi kama sakte hai jiame Har Bar Transfer karne par aapko ek Coupon Milta Scratch Karne par Aapko Paisa milta tha aur yadi aap Tez app ko Invite karte hai to 1 Invite Registration par aapko 51 rupaye mil jate hai. Iake baare me jada jankari ke liye Hamne pahle se hi Ek poat Tez app ke name Se Likhi huye hai. To chaliye Is jankari ko ham Aage le chalte hai.

Read:- Tez app Kya hai, Tez se Paise Kaise kamaye ?

Google Primer Kya hai, Google ne Kyu Banya, Use Kaise Kare ?

Aajkal Koi bhi kaam Karne ke liye Aapko Internet ki jarurat padti hai Aise me agar aap Bhi Google ke banaye Gaye App Google Prime App Se Marketing and SEO and SEM ke baare me Janna chahte hai to Jarur use karen.

Read:- SEO Kya hai, SEO ki Puri jankari hindi me ?

Google Primer Kya hai ?

Ye ek Educational App hai Jisme Tech and Business Sikhne ke liye Banaya gya hai, Google ke Is Develop app ka Main Purpuse hai Logon ke Business ke Skill ko Aage Le jana.

Google Primer-ISe Google ke CEO Sundar Pichai ke Dwra Banaya Gya app hai, jo ki India ke Hindi, English, Telgu etc. language me Banaya gya hai. Jisme aap apna Language Choose karke Use kar sakte hai. Yadi aap bhi Koi Small-Business Karte hai karte hai, aur Apni Skill ko Improve karna chahte hai to Google-Primer app ko Jarur Download kar Le.

Read:- Term Insurance kya hai, Term Insurance plan ki jankari ?

Google Primer me Kya hai, Aur Kya Kya sikh Sakte hai ?

Yadi aap Koi business hai ya New Business Start karna chahte hai to Google Apni Khud ki ek App Develop kar Rakhi hai Jisme app New Business idea/Tutorial ke Courses Update Hote rahte hai. Kisme SEO,SEM, Analytics, Content Marketing, Digital Advertising Simple apne phone me Is app ko Download karke Learn Kar sakte hai. Sabse Achhi Baat ye hai ki aap Ese Online or Offline Dono Tarike se Use kar sakte hai.Learn Courses/Online Marketing Tutorial Courses Business Social Marketing.

Google Primer App Download :-

Jaisa ki aap jante hai Ye Google Dwra Develop App hai jo Google ke Playstore me Avaliable hai, jise aap Bahut aashani se Download kar sakte hai.

  • Sabse pahle aapko Apne Smartphone Me Google Playstore Application ko open karna hai,
  • Open karne ke baad Search Baar me Google Primer Type karke Search Kar lena hai.
  • Ab aapko Sabse Upar hi Google Primer app Mil jayega, jiske logo me aapko India ka Flag bhi dikh raha hoga aur jiske Develop me Google Learn App Lokha Hoga.
  • Ab Simply aapko Download button par Click karke Download and Install Kar lena hai.

Agar aapne Succesfully Install kar liya hai to aage aap Janenge Ise Use Kaise karte hai.

Google Primer Use Kaise Karen ?

Jaisa ki Hamne aapko Pahle bhi bataya hai Ye ek Educational Learning Application hai. Aur aapko Ise Use karna bahut Hi aashan hai. Yadi aapne Ise Download kar rakha hai aur ese Use karne ki Jankari chahte hai to niche ke Tutorial ko Follow karen.

Step.1 First Simply Google Playstore se Download Google Primer app Open Karna hai.

Step.2 Open karne par Aapko Ese apne Google Account (Gmail account) Se Jodna hoga. Jodne ke liye Apne bas Gmail id ko add kar de password nahi dalna hoga.

Step.3 Ab next Step aayega, Language Choose karne ka Jo bhi Language aapke Jada samjh me aati ho Select kar le. Language Select karke Aage bad jaana Lena hai.

Step.4 Successfully Google Primer me Register hone ke baad Isme aapko All type Content me milega jaise Business Ideas, Seo (Search engine optimization) tips, Website create, Search Engine Marketing (SEM) Koi bhi Topic Ke baare me Learn kar sakte hai.

Final word– Read karne ke liye Thanku Yadi aapko Hamari Jankari Achhi lage to Comment karke apna Feedback Jarur Share karen .

Share on:

About Inder

Leave a Comment