On Page Seo Kya hai 11 Tips Post Optimize Kaise Kare ?

Blogging ki duniua me aapka swagat hai aaj ham aapko batane wala hai on page Seo ke bare me. Yadi aapne blog banayi ho aur us se paisa kamana chahte ho to aapke site ki rank achhi honi chahiye, aur ranking tabhi achhi hogi jab aap seo ko achhi tarah se use karenge.
On-page seo full guide

Kya aapko pata hai ham post ko top par labe ke liye kya kya karte hai. Yadi aapko nahi pata hai to aaj is post me jan jayenge. On-page seo Aur iska sahi tarike se use karke apne post ko top rank per la sakte hai.

Seo kya hai, Seo ke type

Maine apne pichle post me seo (search engine optimization ) kya hai blog ke liye kyu jaruri hai uske bare me puri janakari likhi thi. Aur usme seo ke types bhi bataya tha seo 2 type hote hai.
In this article, Is tutorial me mai aapko on-page optimization ke bare me kuch behtar (good or better) tips & techniques bta raha hu. Jo aapko aapki website ki post or page ko on-page seo optimize karne me help karegi.On page seo
Newbie blogger ko humesha SEO, Onpage Optimization, Search Engines, Search Rank, First Page Ranking and other SEO factors ke bare confusing bani rahti hai. Kyuki Search Engine Optimization easy nahi hai. Bade bade blogger or website owners ko isme problem hoti hai. Jo nahi jante ki post content me keywords ko kaise target kiya jata hai.On page seo

Type of seo

Jab ham new post likhte hai to usme
Seo 2 types ka hota hai.
  1. On-page Seo
  2. Off-page Seo
Aaj ham on page seo ke bare me janenge.

Best seo tips use and get top rank post

1. ON PAGE SEO

Website & Blog par new articles likhne ya old post ko optimize karte samay hum jo post title, content, keywords, heading, permalink, images, first and last paragraph, highlight text, internal & external links, Focus keyword and other SEO techniques ka sahi tarike se istemal karte hai. Ise hi On-Page Search Engine Optimization (On-page SEO) Kahte hai.
Website ko optimize karne ke liye sabse jyada important hote hai, high Quality, high ranking, high CPC top level keywords. Top keywords ki help se hi aap apni site ki post ko first page par la sakte ho.
On-page SEO ke under aane wale important topics
  1. Website/ blog speed.
  2. Post title
  3. Post Content
  4. Use Keywords
  5. Meta description
  6. Responsive template
  7. Image alt+tag
  8. Sitemap ( click )
  9. Use custom Permalink
  10. Use Heading and subheading.
  11. Use internal and external links

1. Fast loading website /blog speed-On page seo

Ji hann apki Website ya blog fast loading honi chahiye. Google aapki site ki speed bhi check karta hai yadi aapki site post loading jada time lagta hai to google use ignore kar dusre site post ko index kar deta hai.
Aapki site ki speed 4 sec. Ya us se kam honi chahiye.
Website ya blog ki speed kam karne ke liye fast and simple thame Templete use kare. Aur main home per 10 ki jagah 5-7 hi post dhow karaye taki aapki site fast open ho .

2. Blog post title.-

Post ke title me kis tarah ke keywords use kake Ek important question hai. Jiske bare me shayad aap bhi janna chahate ho. Yaha mai iske bare me kuch tips bta raha hu. Jisse aapko aasani se samajh aa jayega ki post topic me kaise keywords use kare or topic kaisa hona chahiye.
Targeting Keywords: Post title me only targeting keywords hi use kare. I mean aap jis topic par article likh rahe ho. Aapko uske liye aysa keyword choose karna hai jo aapki post ke liye fit ho.
Don’t Repeat Keywords: Kisi bhi keywords ko repeat na kare. Jaise On Page SEO Kya Hai or On-Page SEO Ki Hindi Jankari Ye galat hai. Ise ayse use karo. On Page SEO Kya Hai: Website Page Ko Perfect Optimize Kaise Kare. First topic me sirf ek hi keywords hai jise do bar repeat kiya hai. But utne hi words me second topic me on-page seo, website page or perfect optimize 3-4 keywords hai.
Add Famous Words: Post title me Top, Best, Important, Most, Helpful, Review, Full Guide and other famous words use kare.
Add 0-9 Numberic: Post title me number use kare. Visitor us post par jyada clic karte hai jisme 5, 10, 15 and other tips and tricks hoti hai.
Bahut hi simle hai aap second topic choose karoge to aapki post ki ranking first topic wali post se jyada hogi. Fir chahae dono post me ek hi content ho. Means post title se itna fark pad jata hai.
Use Only 35 to 65 words: Post title me kam se kam (Minimum) 35 character or jyada se jyada (Maximum) 70 characters hone chahiye. Agar aap isse jyada shabd use bhi karte ho to wo search result me show nahi honge.
Main Keywords: Aap jis topic par bhi post likho uske content ke liye post title me aysa keyword use karo. Jo post ke putre content me main ho or jiske bare me hi post me information hoti hai. Examply, meri is post me On-Page SEO is article ka main keyword hai. Or aap dekh sakte hai ki yaha par only isi ke bare me jankari hai.

3. Post Content-

Post content post ka Summery hota hai. Yadi aap post content ko 100 ya 200 words me likh rahe hai to ye bilkul galat ahai aise me aapka post kabhi bhi search ke top rank me nahi aa payega.
Post content 1000 words ya7000 words mera matab hai 5000 words se kam bilkul na likhe.
Kyuki seo chahta hai ki post reader ko post ki full information mile yadi aap apne post ko jada bada likhenge to bahut achha hoga.
Aur jada words likhne ke sath sath content quality ka bhi dhyan rakhna hoga, kon sa words kaha use karna hai kaise use karna hai. Use dhyan me rakhkar post likhna hoga.
Content quality-Post quality aisi honi chahiye ki reader aasani se samajh sake.agar ham ek aise topic per post likh rahe hai jo ki search me pahle se kisi ne likhi ho to, aapko us se jada high-quality ka post likhna hoga jis se aapka post us se uper rank me aaye.
Meri mane to aap apne blog per new new jankari dale jiske bare me kisi ne pahle na likhi ho search engine use jaldi optimization karta hai.
New new post likhne ke bahut fayde hai. Jisse aapke visitor ko aapne naye post ka intjar rahega. Aur aap jaldi seo ke najar me aayenge, post jaldi index hoga. Visitor bhi jada aayenge.
Kyuki jab koi kisi topic per post likh chuka hota hai , to log use pad lete hai, yadi phir se aap usi topic per post likhenge to use kon padega , sab to pahle se uske bare me pad chuke hai.

4.-Use keywords-

Keywords post me traffic lane wala sabse jaruri hota hai. Aap post title se related me jitna jada keywords use karenge utna hi aapke post ke liye achha rahega.
Jab aapki post me title ke keywords ka use kai bar hua hoga to use search engine jaldi samajh jata hai ki post kis bare me likha gaya hai . Sabse achhi baat jab koi aapke post content se related kuch search karta hai to yadi wo words aapke post me hoga to search engine use jaldi se search karke reader tak pahucha dega.
Lekin yadi aapka post only 100 words ka hai to aap use Only 15-20 bar hi keywords ko use kar sakte hai is se jada nahi. Tabhi aapko post jada words me likhna hoga.
Post ke Frist 4-5 line ke under me apne post title ka use jarur kare. Aur last me bhi kare,
Post ke under me highlight Bold , Italics. Underline , colour, ka use jarur kare.

5.-Meta description-

Post top rank me lane ke liye meta tag description ka bhi bahut bada hath hota hai. Ek post me aap 160 words meta description tag ka use kar sakte hai. Jisme aapko post Summery likhna hoga. Yadi aapiska use karna sikh liya hai to aap apne post ko top per jarur la sakenge.
Meta tag description me Yese keywords ka use kare jo log jada search karte ho aur vo user friendly ho. Jisse post serch per jada click ho aur aapki CTR bhi badegi.

6.- Use responsive template thame-

Blog ya website ka templete responsive aur SEO friendly ,aur fast loading hona seo ke liye bilkul jaruri hai.
Apne blog ke liye aise templete ya thame ka use kare jo simple and fast loading ho .
Jab aapke blog fast load page jaldi se khulega visitor ko boring nahi hogi aur wo aapke blog ya website per bane rahenge.
Kabhi kabhi hota hai site jo hai khulne me jada time laga deti hai , iske karan log use ignore karke dusre site ko visit karne lagte hai.

7- Image alt+tag-

Post me image lagbhag 200 words ke barabar hota hai, apme post ke liye image aise banaye ki log use dekhkar samjh jaye ki post kis topic per hai. Post ko seo friendly banane me image ka bahut bada roll hota hai. Blog me seo friendly image use kare.
Images me Alt tag or title add kare. Ise aapko search engine me better ranking milti hai.
Post me only jaruri image hi use kare. Bina kaam ke images use karna Bad SEO hoga.
Images me targetting keywords use karke aap apni post ko or jyada seo friendly bana sakte ho.
Jab bhi aap post me koi images use kare to kam se kam size ki image use kare. Jisse aapki post loading time jyada na ho. Or post jaldi open ho. Site speed slow hone par site ki search ranking bhi low ho jati hai.
Yaad rahe post me jaruri image hi use kare. Or kisi or ki images copy na kare. Kyuki yesa karne se aapki post search engine me show honi hi band ho jayegi.

8.- Sitemap-

Sitemap apke blog ke post ko search index karta hai. Sitmap kya hai
Sitemap ek type ka Map hota hai jise padhkar Google ko aapke website ki sari post ka structure pata chal jata hai. Jab Google kisi website ko read karta hai to sabse pahle Google ka crawler sitemap.xml name ki file ko search krta hai. Agar ye file crawler ko mil jaye to easily wo puri website ko crawl kar leta hai otherwise crawler ko aapki website ke sare pages tak pahuchne me problem hoti hai isliye apni website pe sitemap jarur lagaye.

9.-Use custom permalink-

Ye aapke post ka url hota hai , ye seo ke liye bahut hi important hai. Hame post ke liye aise url Permalink banana chahiye jise search engine jaldi se use pahchan sake aur, Permalink ko ho sake to small hi banaye kyu seo ko small Permalink jada pasand hai.
Aur reader ko bhi jaldi yad aur samajh me aa jaye.

10.-Use Heading and subheading-

Aap post me words ko highlight karne ke liye H2, H3, H4 or H5 heading ka istemal karte ho. Ye SEO ke liye jaruri hota hai. But iska matlab ye nahi hai ki aap heading or sub-heading ko bar bar repeat karo. Aap nice diye step follow kar ke post me heading use kare.
 H1, H2, H3, H4, H5, H6. Hame in heading tag ko use karte samay dhyan dena chahiye ki inko use karne ka ek sequence hota hai.
Sabse pahale H1, H2, H3 Ya H4 sequence chalna chahiye kuch log H1, fir H2, fir H1 aise bi use krte hai but ye tarika bikul galat hai aur SEO ke liye harmful hai

11.-Use external and internal link-

Blog post content me apni other post ka links or kisi or website ka links add karna SEO ke liye better hai. Aap apni site ki dusri post ka link add karke apni site par traffic badha sakte ho.
Or dusri sites ka links add karke usse ache relation bana sakte hai. Jo 100% SEO ke liye badiya hota hai.
External Links: External links yani kisi dusri site ka links apni post me add karna. Example, Aap google ke bare me post kar rahe ho to aapko us post me google ka link add karna chahiye. Isse aapki site ki search ranking increase hogi. But kabhi bhi kisi sexy, porn and other bad quality site ka link apni site par add na kare. Isse aapki site ki search ranking low bhi ho sakti hai.
Internal Links: Aap apni post me apni hi dusri post ka link add karne ke liye aajad hai. Or sabse achi bat SEO ke liye bhi yesa karna good hai. But yaad rahe post me only post se related other post ke hi links add kare. Jaise blogging ke bare me post likh rahe ho to usme blogging ki hi dusri post ka link add kare. Kisi or category ka link nahi.
Ani site ki post me apni other post ya page ki link add karne se aapki site ki search ranking to badhti hi hai .Sath me aapki site par pageviews bhi badhte hai.
Kyuki isse aapke visitors ek post se dusri post par visit karte hai. Jisse aapki site ki bounce rate improve hogi.

Apni site par only trust site ka hi link add kare. Kyoki search engine kisi bhi tarah ki bad quality jaise hacking, dranks, porn and other category ki sites ko allow nahi karta hai.

Asha karta hu ki aap is post me on-page seo ko puri tarah se optimization karna sikh liye hone. thank for visiting my blog Subscribe now and get daily new amazing post on email

WhatsApp Group Join Now
Telegram Group Join Now

12 thoughts on “On Page Seo Kya hai 11 Tips Post Optimize Kaise Kare ?”

  1. mujhe pahle on page seo ke bare jayda jankari nahi thi aur ye kaise banai jati hai,lekin aap ki ye post padhne ka baad achhi se samjh mein aa gayi.

    Reply

Leave a Comment