Jio sim Se Laptop computer Me Internet Chalaye– Aajkal internet per reliance jio ki lahar hai, ab reliance ne takriban sabhi smartphone 4G Lte Support Karne laga hai. Ab Sabhi Smartphone Jio Lte Support Ke sath aane lag gaye hai. yese Me aapko Jio Sim Mobile Smartphone Me Use Karne me Koi Problem To Nahi aa rahi hogi. but Yadi aap Jio Sim Se Apne Computer Ya Laptop Me Internet Chalane ke Baare me Soch Rahe hai to Is Hinglish Jankari Me Ham aapko Jio Sim ke Dwra Apne Computer Laptop Pc me Internet Chalane ke Kuch Simple Tarike Batane wale hai.
Jio Sim Dwra computer laptop me Internet Chalaiye
Jio 4G Se Internet computer laptop me chalane.
1. Jio wifi Dongle or modem se jio sim kaise chalaye.
APN setting-
- APN Acesss point name me = jionet
- APN set karne ke baad baki colums ko khali jhhod kar ok kar.
Dhyan rahe kuch dongle apne aap hi APN chun lete hai.Phir bhi browse khol kar internet connection jarur check kar le ahar net na chale to APN ko khud set kar le.
Aagar sab sahi tarike se hua to aap dongle ki maddat se apne pc aur laptop per reliance jio 4G connection pa sakte hai.Agar koi paresani aaye to system ko reboot kare aur phir kosis kare.
2. Wifi Portable hotspot se
aap to jante hi hone sabhi ki smart phone me wifi portable hotspot ka ek feature hota hai jiski madat se hum apne Computer ya laptop ko apne smartphone se connect kara kar chala sakte hai.
Yadi Isie liye aap apne smart phone ki setting me jaye aur more. Option per click kare jisse Tethering & portable hotspot option milega usper click kare aur on kar de phir apne laptop ki wifi khol kar connect kara le.
BUT aap is trick ko Desktop computer me use nhi kar sakte ,kyu ki usme wifi nhi diya hota. yadi aapko Computer Me Use Karna hai To Aapko Alag Se Wifi Adapter Lena hoga Jise aap Online Purchase Kar sakte hai.?
3-USB Data Cable dwara-
Is tricks me aapko 1 data cable ki jarurat hogi ,jis se aap apna phone ko charge karte hai ya file transfer karte hai
aapke smartphone ki Tethering setting me 1 aur option hota hai USB tethering ka jiske dwara aap cable ko apne mobile se laptop ya computer se connect kara sakte hai.
{ I hope ye tricks aapko pasand aayi ho aur kaam bhi aayegi so please is post ko apne social media whatsapp facebook per apne friend ko share bhi kar sakte hai. }
For you-
- All Sim card own number check kare,jio4G ,Airtel, idea,
- vodafone,bsnl,telenor,tata docomo, Reliance,etc ussd code
main mere jio sim ko jiofi router me laga kar computer me chalana chahta hun par nahi chal raha hai upay bataye.
Pahle aap Customer care pr call karke Activate karwa le Tab chalega.
Aapne bahut hi achhi jankari share kiya hain Thanks