Mobile Se Original Aadhar Download Kaise Karte hai ?

Hello Yadi Aap Mobile ke Dwra Aadhar Download karna chahte hai to Ye Jankari Aapke liye Bahut Helpfull hai. Aaj ham Aapko Is Jankari me Aadhar Ko Mobile Se Download karne ke Bare me Batane Waale hai, india me Aadhar Sabke liye Compulsory kar diya gya hai, Jo hamesha aapke Pass Hona Chahiye, Agar Nahi hai, to Aap Ise Online Mobile Se Download kar sakte hai.

Agar aap Internet Par Aadhar Mobile Se Download karne ki Jankari Dudhkar Thak gaye hai, Aur Download nahi kar paye hai, To hamre Is Tutorial Se Jarur Download kar payenge, Jiasa Ki Aadhar Card Sabke Liye Bahut Jaruri Identification Card hai, Jo Aapko Identify karta hai, aapke Name, Address, aur Personal Jankari ko,

Jise Mobile Se aadhar Download karne Ki Jankari Nahi hai, Vo Pc Use karke Kar lete hai, But jiske pass Pc (Computer/laptop) nahi hai aur  1 Smartphone hai to Vo Bhi Download kar sakte hai,

Step.1

Sabse pahle Aapko Apne Mobile me Ek App Download Karna Hoga Jiska Name hai mAadhar Jise aapko Pahle Apne Mobile me Download Kar lena hai, Download Karne ke Liye Aap Android Google Playstore Open karke Search Box me mAadhar Search karke Download kar Sakte hai, ya Phir Niche Diye Gaye Download Button Par Click Karke Bhi Download kar Sakte hai.

Download mAadhar
Step.2

mAadhar aap Download Hone ke Baad Simply Open kar lena hai, Jaise Hi open karte hai to First Isme ek Password Create Karna hoga, mAadhar App Ko Secure Banane Ke lIye.

Step.3

Next Ab Right Side Niche plus (+) Icon Par Click Karna hai, Jiske Baad Ab Next Aadhar Number Enter Karna hai, isme aap 14 Digit Aadhar Number Daale Ya Directly Aadhar QR Code Scan Kar sakte hai, Submit Button par Click Kar Dena hai.

Step.4

Ab aapke Aadhar Me Registered Mobile Number Par OTP Bheja Jayega, Aapko OTP Enter Karke Apna Aadhar Conferm Kar lena hai, ab Jaise Hi aap OTP Enter Karke Submit Karte hai, Aapka Aadhar Open Hokar Samne Aa jata hai, Jiski Original Size Color Aap Dekh sakte hai.

Step.5

Yadi Aapko Apna Aadhar Print karna hai to aapko Iska Screenshot Le lena hai aut Isko Crop Karke Print kar lena hai.

Aadhar Kho Jaane par Kya kare ?

Ab Yadi aapko Aadhar Kho Gya hai to Aap Upar ke Steps Follow Karke Aap Ishe Apne Smartphone Se Screenshot Le Le aur Isko Crop Kar le, Jiske baad Aap Ishe Hard Paper Par Print Kar Ke Aadhar Kahi Bhi Use Kar sakte hai.

Share on:

About Inder

4 thoughts on “Mobile Se Original Aadhar Download Kaise Karte hai ?”

Leave a Comment