Sbi atm pin change- State Bank of India ( Atm pin change) bahut hi achha bank hai jo hame Internet banking, phone banking, ka online banking, ke features milte hai. Aise me yadi aap ke pass state Bank of India ka ATM card hai, Aur apka internet banking ki seva ka use kar rahe hai, to ye post aapke liye bahut helpful hai.SBI ka ATM card me ek naya features aaya hai. Jo aapke security ke liye achha hai. Jisme aap apne ATM ka pin change kar sakte hai.
Sbi ATM Pin Change कैसे करते है।
Sbi ATM pin क्या है।
ATM pin ek password hota hai jisse ham apne ATM card ko acsess karte hai, Jab hame SBI bank se ATM ka banwane ka form submit karte hai, to hamara ATM card post dwra ya bank se pin milta hai. Wo hi aapke card ka pin ( password) hota hai
ATM pin change kyu kare
SBI ATM PIN change karna bahut hi jaruri hai.is se aapki security sefty rahti hai. Yaha main aapko kuch example bata raha hu, Isko jarur follow kare.
- Jaise ki aapne apna ATM card ko use karne ke liye diya hua hai to. Lene ke baad pin jarur change kar le.
- Jabb bank se pahli baar pin milta hai tab bhi apna pin jarur change kare.
- Yadi aapka ATM card kho gya tha , aur mil jane ke baad pin change kar le.
- Yadi aapko lagta hai aapka ATM PIN leake ho gya hai tab bhi ,apna ATM pin change kar le.
- Yadi aap online bar bar apne ATM PIN ka use kar rahe hai to samy samy par change karte rahe.
SBI ATM PIN change karne ke liye kya kya hona jaruri hai-
- Q 1.-Aapka SBI me account hona chahiye
- Q 2-Kya aap apna ATM PIN bhul gaye hai.
- Q 3-Kya aapke pass SBI Internet banking hai
- Q 4-Kya aap apne pin ko Chang e karna chahte hai.
- Yadi aapke pass in question ka jabab ha hai to aap apna ATM PIN change kar sakte hai.
SBI ATM PIN change karne ka tarika-
1-SBI Atm Pin change करने का तरीका
- Sabse pahle apne najdiki ATM center per jaye.
- Apna ATM card laga kar old wala pin dalkar apna account open kare.
- Waha ek option hoga PIN change ka us per click kare.
- Click karne ke baad new pin generate par aa jayenge, usme puche anusar sab dalna hai.
- New pin option par apna naya pin dale, re-inter me apna nya password ko dobara dale
- Ok button par click kare. Bas aapne apna ATM PIN change kar liya hai.
2- Online SBI ATM Pin change कैसे करें ?
- Sabse pahle aap state Bank of India ke official website par jana hai.
- Jane ke baad continue to login par click kare. login ka option aa jayega.
- Yadi aapka pahle se account hai to username password dalkar log in kare
- Yadi pahle se account nahi hai to right side me new user ? Registered here ka option par click kare.new Page khulega.jisme aapko pura details fill karna hai.
- Fill karne ke baad niche diye submit button se submit kar de.
- Submit karne ke baad, apna banaye gaye account se login kare.
- Login karne ke baad uper ek option hoga, e-service usper click kare.
- E-service par click karne par left site me ek option hoga, ATM card service  us per click kare.
- Click karne par Pin generation ka otion aa jayega us par click kare.
- Next step me aapko 2 option milega 1- OTP password. 2- profile password,
- Yadi aap OTP password ka option par click kate hai.to aapke registered mobile number per OTP password aayega.
- Aage apna account select karna hai, apna ATM selt kare.
- Ab PIN generate me apna naye pin ka keval 2 digit dalna hai. Submit kar de.
- Jaise hi submit karte hai. Aapke registered number per sms aayega. 2 digit code hoga . Example- 50 sms me aaya hai
- Ab aapko dono code ko mila kar dalna hai.Example-2550
- Dalkar submit kar de, ab aapka pin change ho chuka hai.
Lifesaver! Thanks for the update!
i want to change my atm pin via massage
Aap puri post ko Dhyan se pade.