Home » Uncategorized » Vigo Video Paisa Bank Me Transfer Kaise Kare ?

Vigo Video Paisa Bank Me Transfer Kaise Kare ?

Vigo Video paisa Bank me Transfer Karna Bahut Simple hai, Iske liye bas aapke bas Paypal Account Hona Chahiye, Paypal Kya hai Account kaise banaye, Iski Bhi jankari aapko Is Artical Meil jayegi.

Yadi aapne Vigo Se Minimum 1 Dollor ka Income kar liya hai to, aap Ishe Apne Paypal Account Me Transfer kar sakte hai, Vigo app paisa ka Minimum Transfer 1 Dollor hai, Yadi aap Vigo video Paisa Bank me Transfer karna Chahte hai, pahle Ushe apne Paypal Account me Transfer karna hoga, uske baad Bank Account me, Iske liye aapko Hamari puri jankari dhyan se padna hoga.

  • Hindi Education and Heath Related Jankari ke liye Yahan Par Jaaye ?

Vigo Video App Se Paisa Kaise Kamaye ?

Ghar Baithe Paise Kamane ke Baare me Aapne Suna hi hoga, Jaise Youtube, Blogger, Freelancer, Etc. bahut Se Tarike hai, Aur App Ke jariye Bhi Paisa kamane ka Tarika bhi Aap Jante honge, Jisme Main aapko Vigo Video App Ke baare me kahunga, Ye bahut Hi achcha App Hai, Jisse aap Simply video Clip Share karke Paise kama sakte hai.

Vigo aap Se Paisa kamane ka Ek Hi Jariya hai,Video bana kar, Jisme aapko Vigo App Camera se 30 sec. Ki Video Bana kar Upload karna hota hai. Aapki Video jitni Viral Hogi Aapko Utna hi Jada Paisa Milega, Details Janakri Ke liye Vigo App Waali Pichli jankari Ko pade.

Vigo Video Paisa Bank Me Transfer Kaise karen ?

Jaisa ki Hamne Ghar Baithe Paisa Kamane Waale Pichli Jankai Me Paisa Kamane ke Kayi Tarike Share kiye the, Jisme App Se Paisa kamane ka tarika bhi hai, Aur Vigo Video Application App ka hi tarika hai, jisse aap Aashani Se 30 sec. Ki Video Bana kar paisa kama sakte hai.

Agar aapne bhi vigo video App Se Earn Kiya hai to aapko pata hoga Ye Aapko Dollor me Paise Deta hai, aur Payment lene ka Tarika hai Paypal Service, To agar aap Vigo Video App Se Paisa Apne Bank me Transfer karna chahte hai to Aapko Paypal Account Create karna hoga, Chahiye Jaan Lete hai Vigo app Se paisa Bank Me Transfer kaise karen.

Step.1 Agar Aapne Abhi Tak paypal Account Nahi banaya hai to Niche Diye Gaye link par Click karke Paypal Account banane ki Puri Jankari Pad Sakte hai.

Paypal Account Banane Ka Tarika ?

Step.2 Paypal Account Ban Jaane ke baad aapko Vigo app Me jana hai, Ab Aapko Me Yaani Ke My Profile Details Section Me jana hai.

Step.3 Ab Next aapko Upar Diye gaye Flame ya Phir Niche Wallet Option par Click karna hai, Jaane ke baad Saamne aapki Earning Details Show ho rahi hogi aur Niche Paypal ka Option hoga, Uske saamne Link Ka Option diya gya hai, Just aapko Link Option par Click karna hai.

Step.4 Jaise hi aap Link Option par click karte hai, New Page Open ho jata hai, Jisme Withdrawal Requirement Yaani Ki Term Condition Likha hoga, Jise aap Dhyan Se pad Sakte hai, aur Niche Link To Paypal Ka Button Diya gya hoga, Just aapko Uspar Click Kar Dena hai.

Step.5 Jaise hi Link To Paypal par Click karte hai New Page Open hota hai, Jisme aapko Email Dalna hai.

Email Wahi Daale Jo Paypal Account Me Verify Kiya gya ho, agar aapne Email Ko Paypal Se Verify nahi kiya hai to Pahle Paypal Me jakar Email Verify kar le, Kyuki Bina Email Verify ke Accept Nahi hoga.

Step.6 Paypal Se Verify Email Dalne ke baad Ab Paypal Password Dalna hai, aur Password dalne ke baad aapko Pay Ka Option mil jaata hai Just Pay par Click kar dena hai.

Step.7 Ab aap Paypal Account ko Open karke Dekh sakte hai, Wallet me Vigo video Paisa Transfer hokar aa jata hai, ab aapko Ishe apne Bank me Withdrawa Karna hoga, Jiske baad Paypal Wallet paisa apke Bank Account Me Transfer ho jayeg.

To Simply aap Vigo app Se Paisa Apne bank Me withdraw kar sakte hai, kabhi kabhi Paisa Transfer Hone me Time lag jaata, hai to aapko Thora Wait karna pad sakta hai.

Share on:

2 thoughts on “Vigo Video Paisa Bank Me Transfer Kaise Kare ?”

Leave a Comment