Mobile Root Karne ke Fayde aur Nuksan kya hai ?

Hello frainds aaj me aap mobile root ke bare me batane ja raha hu ki, Root kya hota hai.aur root karne ke fayde aur kya kya nuksan hai.

Root ka matab hota hai jad kisi bhi jiz ke jad tak pahuchna hai. Root Ki Hindi Meaning Jad Hoti hai, Bahut se log abhi ye nahi jante ki root kya hota hai. aaj me aap ka sab clear kar dunga.

Android ko root karna koi badi baad nahi hai aap aasani se  kuch minute me ye kar sakte hai, aapke android ko root karne ke baad android ke poore system ko access kar sakte hai.Matlab apne phone me kuch bhi change kar sakte hai. like as reboot system change ,Mobile speed up, unstall Any apps system apps ,anythig you want.

Kuch apps aise hote hai jinko use tabhi kiya ja sakta hai jab aapko android phone rooted ho.

Also Read

  1. Audio/Text Windows Starting Welcome Massage Add Kaise kare ?
  2. Mobile Phone Memory Formet /Delete Kaise Karen ?

ROOT karne ke fayade-

Jaise ki maine uper bataya hai apne smartphone ko app puri tarah se acsess kar sakte hai matb Devlop kar skte hai. kuch bhi change kar sakte hai. like as reboot system,speed up,unstall system apps.

Phone root karne per kya kya kar sakte hai ?

1# Apne android phone ko root karne ke baad aap phone se bloatware ko remove kar sakte hai jo phone ke sath aati hai,

2# App permission manager ko control kar sakte ho,

3# Firewall run kara sakte ho, agar aapka carrier block kar raha hai to bhi aap tethering enable kar sakte ho,

4# Install kiye huye apps ki settings ka manually backup bana sakte ho, aur aise bahut se tweaks ko use kar sakte ho jo low level system access mangti hai.

5# Aise apps jo root access mangte hai unko dundne me jyada problem nahi aati aise kai apps aapko google play store par mil jayenge jo root access mangte hai, in apps ko use karne ke liye aapko sirf apne phone ko root karna hoga.

Mobile root karne Se nuksan-

Android already rooted nahi aata aur android rooting ek official feature nahi hai, android root phone ke boot-loader ko unlock karta hai, system ke partition ko modify karta hai, aap custom ROM bhi install kar sakte ho jo ki official supported nahi hai.

Security– android phone rooting apps ke normal security sandbox ko todta hai, kuch apps root ka galat fayda utha sakte hai.

Warranty – kuch manufactures kahte hai rooting aapke phone ki warranty khatam kar dega, lekin actually me rooting aapke phone ke hardware ko damage nahi karta hai.

Bricking – Waise to rooting ek safe process hai fir bhi ye sab aapko apni risk pe karna hota hai, agar phone ke sath kuch galat hota hai to aap free warranty service ka bhi fayda nahi utha sakte.

Final word– Agar aapko Mobile phone root Karen me koi problem ho to Comment karke puch Sakte hai. Thanks for reading

Share on:

About Inder

3 thoughts on “Mobile Root Karne ke Fayde aur Nuksan kya hai ?”

Leave a Comment