Blogger All Post me Adsense Ads Add kaise kare-Hello Friends Hindihelp4u blog me aapka swagat hai, Aaj ke is Tutorial me ham Blogger blog ke post me adsense ads kaise lagaye uske baare me batane wala hu. WordPress blog me ham Plugin use karke Adsense code add kar sakte hai. Lekin blogger platform par hame ye sab Manually karna hota hai.
Kuch log jinhe is trick ke baare me nhi pata ya abhi naye hai. Vo Sabhi post me Manually ads code ko add karte hai, jo ek sahi tarika nahi hai, har bar har post me ads ke code ko dalan, Lekin ab yesa karne ki jarurat nhi hai. Bas ek bar theme Html me ads code add karna hai. Iske liye niche diye gaye Tricks ko Follow kare.
- Blogger Blog Copy Text Selection Disable Kaise kare (Html Css code) ?
- Blogger Blog Se Quickedit icon Remove kaise kare ?
Blogger Post me Adsense Ads code Add kaise kare ?
Yadi aap blogging me New hai, aur Coding ka thoda sa bhi Knowledge hai to aap Aashani se Apne blogger blog ke All Post me Adsense ad code add kar payenge.
Step.1
Sabse pahle Blogger Dashboard me jana hai, aur Theme Section me jana hai.
Step.2
Theme Section ke andar aapko Theme edit Sections par Jana hai, aapko theme ke coding me adsense ads code ko add karna hai.
Step.3
Theme edit HML Par Jaane ke baad aapko Coding me aapko <data:post.body/> Code Ko CTRL+f Keyboard me Button press karke Code ko Search karna hai.
Step.4
Jaise hi Code ko Search karte hai aapko Mil Jata hai. ab aapko niche diye gaye Code Ko Copy kar lena hai.
<b:if cond='data:blog.pageType == "item"'> <div align="center"> AdSense ads code yaha paste kare. </div> </b:if>
Step.5
Upar diye gaye is Code Ko Copy karne ke baad Notepad me Edit karna hai. Adsense ads code yaha paste kare. ki Jagah apne Adsense ka Code Bich me Paste kar de.
Step.6
Code tayaar hone ke baad, Ab apne blog ki Theme Edit Html me aapne jo Code Search kiya tha <data:post.body/> use Just Upar Aur Niche Adsense wala Code Paste karna hai. Jaisa ki aap Image me bhi Dekh sakte hai.
Note-Code add karne me baad Save kar de aur Apne blog ko Refresh karke Dekhe. Kuch Samay ke baad Ads Show hone lagenge Yadi Ad show nhi hota hai to Aapko <data:post.body/> ye code Aapke Theme edit html me Kayi baar diya gya hai. Adsense ke ad ko Dusre Code ke niche upar Paste karke Dekhe.
Ab aapko Blogger ke sabhi Sabhi Post me ads Code add karne ki jarurat nhi hai, Aapko bas upar diye gaye Tariko ko Follow karna hai. Hamne bhi ishi tarike se apne blogger ki website me ads ko lagaya hai.jisee hame All post me Adsense ads add karne ki jarurat nhi padti.
- Blogger Blogspot Remove Karke Domain Add Kaise Kare ?
- Blogger Per New Blog post लिखते है ?
- Blogger post me Code box ko kaise use kare ?
I hope aapko hamari jankari samajh me aa gyi ho, yadi aapko Blogger ki Post me adsense ads Add karne me koi Problem ho rahi ho to hame comment karke bataye ham aapki puri tarah se help karne ki Kosis karenge.
Superb, what a website it is! This website presents valuable facts to us, keep it up. Arleen Ford Montagna
But wanna comment that you have a very decent website , I like the style it really stands out. Alanna Ange Berneta